umr baDhti ja rahi hai zist ghaTti jae hai
Interesting Fact
(Tahreek, Delhi)
umr baḌhtī jā rahī hai ziist ghaTtī jaa.e hai
jism kī ḳhushbū kī ḳhvāhish duur haTtī jaa.e hai
soch meñ bhī ab nahīñ pahlā sā tevar aur loch
shauq kī dīvār gard-e-ġham se uThtī jaa.e hai
be-maza hone lagī hai zindagī ba.ad-e-shabāb
raat abhī baaqī hai lekin niiñd uchaTtī jaa.e hai
aa rahī hai sukh milan kī champa.ī ujlī sahar
dukh kī ye bechain añdherī rain kaTtī jaa.e hai
yaas ke hassās lamhoñ meñ bhī hai kitnā surūr
shāhida ummīd kī mujh se lipaTtī jaa.e hai
kaam kī ifrāt meñ daftar ke hañgāmoñ meñ bhī
terī yaad aa.e tavajjoh merī baTtī jaa.e hai
hai badan chuur aur komal kis qadar chit-chor shaam
jaise sharmīlī dulhan ḳhud meñ simaTtī jaa.e hai
hai vo chanchal kāmanī mahbūb saare shahr ko
dekh kar jis ko nazar merī palaTtī jaa.e hai
bāb-e-hasrat dāstān-e-shauq tasvīr-e-umīd
lamha lamha zindagī aurāq ulaTtī jaa.e hai
jaag uThī hai jīv-jyotī aas aur vishvās kī
'krishn-mohan' kālimā dubidhā kī chhaTtī jaa.e hai
umr baDhti ja rahi hai zist ghaTti jae hai
jism ki KHushbu ki KHwahish dur haTti jae hai
soch mein bhi ab nahin pahla sa tewar aur loch
shauq ki diwar gard-e-gham se uThti jae hai
be-maza hone lagi hai zindagi baad-e-shabab
raat abhi baqi hai lekin nind uchaTti jae hai
aa rahi hai sukh milan ki champai ujli sahar
dukh ki ye bechain andheri rain kaTti jae hai
yas ke hassas lamhon mein bhi hai kitna surur
shahida ummid ki mujh se lipaTti jae hai
kaam ki ifraat mein daftar ke hangamon mein bhi
teri yaad aae tawajjoh meri baTti jae hai
hai badan chur aur komal kis qadar chit-chor sham
jaise sharmili dulhan KHud mein simaTti jae hai
hai wo chanchal kaamani mahbub sare shahr ko
dekh kar jis ko nazar meri palaTti jae hai
bab-e-hasrat dastan-e-shauq taswir-e-umid
lamha lamha zindagi auraq ulaTti jae hai
jag uThi hai jiw-jyoti aas aur wishwas ki
'krishn-mohan' kalima dubidha ki chhaTti jae hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 62)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.