umr be-wajh na be-rabt guzari jae
umr be-vaj.h na be-rabt guzārī jaa.e
aa.ina dekh ke tasvīr utārī jaa.e
vahī kamra vahī ḳhushbū vahī har shab kī ghuTan
aaj kī raat kahīñ aur guzārī jaa.e
yuuñ zarūrat kī dukāñ se hai ta'alluq us kā
jaise chaurāhe pe har roz bhikārī jaa.e
ḳhauf āñkhoñ ke kaToroñ se chhalak jā.egā
musht-bhar ḳhaak sahī chehre pe maarī jaa.e
hai khañDar jism magar ruuh kī taskīñ ke liye
būḌhī dīvār kisī tarah sañvārī jaa.e
shaam hī se mire bistar kī shikan kahtī hai
aaj bhī kal kī tarah raat na bhārī jaa.e
apne takiye pe likhā us ne ye misrā 'ājiz'
aañkh lag jaa.e to phir chīḳh na maarī jaa.e
umr be-wajh na be-rabt guzari jae
aaina dekh ke taswir utari jae
wahi kamra wahi KHushbu wahi har shab ki ghuTan
aaj ki raat kahin aur guzari jae
yun zarurat ki dukan se hai ta'alluq us ka
jaise chaurahe pe har roz bhikari jae
KHauf aankhon ke kaToron se chhalak jaega
musht-bhar KHak sahi chehre pe mari jae
hai khanDar jism magar ruh ki taskin ke liye
buDhi diwar kisi tarah sanwari jae
sham hi se mere bistar ki shikan kahti hai
aaj bhi kal ki tarah raat na bhaari jae
apne takiye pe likha us ne ye misra 'ajiz'
aankh lag jae to phir chiKH na mari jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.