umr bhar aankhon ka darwaza khula rahna hi tha
umr bhar āñkhoñ kā darvāza khulā rahnā hī thā
kab palaT aa.e koī dhaḌkā lagā rahnā hī thā
jab ḳhulūs-e-dil na shāmil ho to phir kaisā milāp
saath uThte baiThte bhī mas.ala rahnā hī thā
chāhe ham koī jatan karte magar honā thā kyā
be-sabab thā jo ḳhafā us ko ḳhafā rahnā hī thā
ḳhāmushī se bhī mire dil meñ kasak rahnī hī thī
aur kah kar bhī bahut kuchh bin kahā rahnā hī thā
apnā rasta chhoḌ ke jo chal paḌā auroñ ke saath
vo agar rasta bhaTaktā rah gayā rahnā hī thā
rañg bhī āḳhir utarne meñ to kuchh letā hai vaqt
husn āḳhir husn thā jis kā nasha rahnā hī thā
kuchh nahīñ to kyuuñ nahīñ kuchh bhī binā-e-iḳhtilāf
is liye bhī us ko ham se kuchh gila rahnā hī thā
pāsdārī jab qabīle ke rivājoñ kī na kī
phir to zāhir hai qabīle se judā rahnā hī thā
umr bhar aankhon ka darwaza khula rahna hi tha
kab palaT aae koi dhaDka laga rahna hi tha
jab KHulus-e-dil na shamil ho to phir kaisa milap
sath uThte baiThte bhi masala rahna hi tha
chahe hum koi jatan karte magar hona tha kya
be-sabab tha jo KHafa us ko KHafa rahna hi tha
KHamushi se bhi mere dil mein kasak rahni hi thi
aur kah kar bhi bahut kuchh bin kaha rahna hi tha
apna rasta chhoD ke jo chal paDa auron ke sath
wo agar rasta bhaTakta rah gaya rahna hi tha
rang bhi aaKHir utarne mein to kuchh leta hai waqt
husn aaKHir husn tha jis ka nasha rahna hi tha
kuchh nahin to kyun nahin kuchh bhi bina-e-iKHtilaf
is liye bhi us ko hum se kuchh gila rahna hi tha
pasdari jab qabile ke riwajon ki na ki
phir to zahir hai qabile se juda rahna hi tha
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 307)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.