Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta

SabeenSaif

umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta

SabeenSaif

MORE BYSabeenSaif

    umr bhar bojh uThāyā to nahīñ saktā

    har ta.alluq ko nibhāyā to nahīñ saktā

    aap is baar bhī dīvār meñ chunvā deñ mujhe

    ab ke bhī sar ye jhukāyā to nahīñ saktā

    roz marne hunar jis ne sikhāyā hai mujhe

    us ehsān bhulāyā to nahīñ saktā

    chashm-e-bīnā hai magar aql se nā-bīnā haiñ

    aa.ina un ko dikhāyā to nahīñ saktā

    tum ne ik umr mire dil pe hukūmat hai

    tum ko pal bhar meñ bhulāyā to nahīñ saktā

    jin ko alfāz se Dasne hunar aatā hai

    haath ab un se milāyā to nahīñ saktā

    jis qadar sañg-zanī chāhiye kar leñ mujh par

    sañg-zādī ko rulāyā to nahīñ saktā

    hoñ makīñ jin meñ ka.ī saal se zinda lāsheñ

    un makānoñ ko sajāyā to nahīñ saktā

    jis ḳhāmoshī meñ aaseb sukūñ karte hoñ

    aisā vīrāna basāyā to nahīñ saktā

    but-e-ishq nahīñ to ḳhudā hai merā

    ab tujhe haath lagāyā to nahīñ saktā

    umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta

    har talluq ko nibhaya to nahin ja sakta

    aap is bar bhi diwar mein chunwa den mujhe

    ab ke bhi sar ye jhukaya to nahin ja sakta

    roz marne ka hunar jis ne sikhaya hai mujhe

    us ka ehsan bhulaya to nahin ja sakta

    chashm-e-bina hai magar aql se na-bina hain

    aaina un ko dikhaya to nahin ja sakta

    tum ne ek umr mere dil pe hukumat ki hai

    tum ko pal bhar mein bhulaya to nahin ja sakta

    jin ko alfaz se Dasne ka hunar aata hai

    hath ab un se milaya to nahin ja sakta

    jis qadar sang-zani chahiye kar len mujh par

    sang-zadi ko rulaya to nahin ja sakta

    hon makin jin mein kai sal se zinda lashen

    un makanon ko sajaya to nahin ja sakta

    jis ki KHamoshi mein aaseb sukun karte hon

    aisa virana basaya to nahin ja sakta

    tu but-e-ishq nahin tu to KHuda hai mera

    ab tujhe hath lagaya to nahin ja sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now