umr-bhar dard ke sannaTon mein chalna hoga
umr-bhar dard ke sannāToñ meñ chalnā hogā
paar utrūñgā samundar ke to sahrā hogā
uñgliyāñ merī havāoñ kī girah kholeñgī
pāniyoñ par bhī mirā naqsh-e-kaf-e-pā hogā
shīsha-e-dasht-e-talab chhūT gayā hāthoñ se
har taraf bikhrā huā ḳhvāb kā chehra hogā
ḳhushk hoñToñ pe hai barfīlī havāoñ kī namī
ġham kā sāvan kahīñ daldal pe barastā hogā
reg-zāroñ meñ hai ye kis ke lahū kī ḳhushbū
mujh se pahle koī is raah se guzrā hogā
us ke chehre pe haiñ sadiyoñ ke safar kī shikneñ
mere purkhoñ kī kahānī vo sunātā hogā
kachchī nīñdoñ se jagāo na koī 'saifī' ko
kitnī sadiyoñ kī thakan oḌh ke soyā hogā
umr-bhar dard ke sannaTon mein chalna hoga
par utrunga samundar ke to sahra hoga
ungliyan meri hawaon ki girah kholengi
paniyon par bhi mera naqsh-e-kaf-e-pa hoga
shisha-e-dasht-e-talab chhuT gaya hathon se
har taraf bikhra hua KHwab ka chehra hoga
KHushk honTon pe hai barfili hawaon ki nami
gham ka sawan kahin daldal pe barasta hoga
reg-zaron mein hai ye kis ke lahu ki KHushbu
mujh se pahle koi is rah se guzra hoga
us ke chehre pe hain sadiyon ke safar ki shiknen
mere purkhon ki kahani wo sunata hoga
kachchi nindon se jagao na koi 'saifi' ko
kitni sadiyon ki thakan oDh ke soya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.