umr bhar ek mohabbat ki kami rahti hai
umr bhar ek mohabbat kī kamī rahtī hai
ashk bah jaa.eñ to āñkhoñ meñ namī rahtī hai
dhuup nikle to pighalte nahīñ dil ke mausam
ek do roz to ye barf jamī rahtī hai
maiñ kabhī ishq meñ paspā nahīñ hone vaalā
jang hārūñ bhī to sābit-qadamī rahtī hai
is tarah us kī mohabbat kā hai bādal mujh par
kahkashāñ jaise fazāoñ meñ thamī rahtī hai
maa.eñ to sab kī zamāne se guzar jaatī haiñ
dast-e-shafqat kī bahar-hāl kamī rahtī hai
umr bhar ek mohabbat ki kami rahti hai
ashk bah jaen to aankhon mein nami rahti hai
dhup nikle to pighalte nahin dil ke mausam
ek do roz to ye barf jami rahti hai
main kabhi ishq mein paspa nahin hone wala
jang haarun bhi to sabit-qadami rahti hai
is tarah us ki mohabbat ka hai baadal mujh par
kahkashan jaise fazaon mein thami rahti hai
maen to sab ki zamane se guzar jati hain
dast-e-shafqat ki bahar-haal kami rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.