umr bhar isko rahi ek sargirani aur bas
umr bhar is ko rahī ik sargirānī aur bas
vo to kahiye thī hamārī saḳht-jānī aur bas
ek musht-e-ḳhāk bil-āḳhir jo ḳhākistar huī
so ma.āl-e-zindagī hai rā.egānī aur bas
ik dayār-e-be-amāñ kī kaj-adā.ī dam-ba-dam
ik shab-e-hijrāñ kī paiham nauha-ḳhvānī aur bas
māh-o-anjum husn-e-parvāz-e-taḳhayyul ke liye
rahguzar kī dhuul manzil kī nishānī aur bas
āshiqī ke baab meñ dāman-darīda hī rahe
ik nazar bas ik tabassum kul kahānī aur bas
raqs meñ haiñ vahshateñ qarya-ba-qarya kū-ba-kū
ye junūn-e-ishq kī resha-davānī aur bas
thā shaikast-e-shauq kā unvān ishq-e-avvalīñ
pesh-e-pā uftāda merā ishq-e-sānī aur bas
zindagī kā isti.āra hai dil-e-shorīda-sar
hai ragoñ meñ ishq kī ātish-fishānī aur bas
dil sahīfa naqsh se ārāsta us ke rahā
dil sahīfe meñ likhī is kī kahānī aur bas
dard kā darmāñ suḳhan-hā-e-shagufta bhī nahīñ
be-asar hai sab tirī jādū-bayānī aur bas
hai shab-e-hijrāñ tilism-e-tīrgī 'anjum' darāz
chashm-e-girya kī hai ḳhūnāba-fishānī aur bas
umr bhar is ko rahi ek sargirani aur bas
wo to kahiye thi hamari saKHt-jaani aur bas
ek musht-e-KHak bil-aKHir jo KHakistar hui
so maal-e-zindagi hai raegani aur bas
ek dayar-e-be-aman ki kaj-adai dam-ba-dam
ek shab-e-hijran ki paiham nauha-KHwani aur bas
mah-o-anjum husn-e-parwaz-e-taKHayyul ke liye
rahguzar ki dhul manzil ki nishani aur bas
aashiqi ke bab mein daman-darida hi rahe
ek nazar bas ek tabassum kul kahani aur bas
raqs mein hain wahshaten qarya-ba-qarya ku-ba-ku
ye junun-e-ishq ki resha-dawani aur bas
tha shaikast-e-shauq ka unwan ishq-e-awwalin
pesh-e-pa uftada mera ishq-e-sani aur bas
zindagi ka istiara hai dil-e-shorida-sar
hai ragon mein ishq ki aatish-fishani aur bas
dil sahifa naqsh se aarasta us ke raha
dil sahife mein likhi is ki kahani aur bas
dard ka darman suKHan-ha-e-shagufta bhi nahin
be-asar hai sab teri jadu-bayani aur bas
hai shab-e-hijran tilism-e-tirgi 'anjum' daraaz
chashm-e-girya ki hai KHunaba-fishani aur bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.