umr-bhar ishq ke aazar ne sone na diya
umr-bhar ishq ke āzār ne sone na diyā
haa.e haa.e dil-e-bīmār ne sone na diyā
ḳhvāb meñ shakl dikhātā vo muqarrar mujh ko
shauq ke tāla-e-bedār ne sone na diyā
aish kī shab bhī mire baḳht ko aa jaatī niiñd
us kī pāzeb kī jhankār ne sone na diyā
mere marqad pe kahā kis ne qayāmat hai qarīb
yaad aa kar tirī raftār ne sone na diyā
rat-jage hote rahe haiñ ki baḌhe ġham kī umr
ek shab dard-e-dil-e-zār ne sone na diyā
maiñ ne sone na diyā shaam se us ko shab-e-vasl
sub.h tak zid se mujhe yaar ne sone na diyā
nīsh-e-ġham ne rag-e-mizhgāñ se nikālā ye lahū
mujh ko rātoñ mire ġham-ḳhvār ne sone na diyā
mai-kasho surḳh haiñ āñkheñ jo tumhārī shāyad
shab tumheñ sāqī-e-sarshār ne sone na diyā
ḳhauf thā us ko 'shahīdī' tirī bad-mastī kā
shab jo ham-bazmoñ ko ayyār ne sone na diyā
umr-bhar ishq ke aazar ne sone na diya
hae hae dil-e-bimar ne sone na diya
KHwab mein shakl dikhata wo muqarrar mujh ko
shauq ke tala-e-bedar ne sone na diya
aish ki shab bhi mere baKHt ko aa jati nind
us ki pazeb ki jhankar ne sone na diya
mere marqad pe kaha kis ne qayamat hai qarib
yaad aa kar teri raftar ne sone na diya
rat-jage hote rahe hain ki baDhe gham ki umr
ek shab dard-e-dil-e-zar ne sone na diya
main ne sone na diya sham se us ko shab-e-wasl
subh tak zid se mujhe yar ne sone na diya
nish-e-gham ne rag-e-mizhgan se nikala ye lahu
mujh ko raaton mere gham-KHwar ne sone na diya
mai-kasho surKH hain aankhen jo tumhaari shayad
shab tumhein saqi-e-sarshaar ne sone na diya
KHauf tha us ko 'shahidi' teri bad-masti ka
shab jo ham-bazmon ko ayyar ne sone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.