umr bhar jo ek diya iman ka jalta raha
'umr bhar jo ik diyā īmān kā jaltā rahā
raushnī meñ us kī maiñ ārām se chaltā rahā
nekiyāñ sachchā.iyāñ aur hausla thā mere saath
mushkiloñ kā sāmnā kartā huā chaltā rahā
dost thā lekin hamesha ḳhaas maqsad ke liye
āstīñ meñ vo mirī ik saañp sā paltā rahā
zindagī guzrī ki ik tūfān guzrā raah se
dekh kar maiñ apnā maazī haath hī maltā rahā
merī ġhazloñ par hamesha daad ġhairoñ se milī
apne logoñ ko maiñ aksar bazm meñ khultā rahā
maiñ samajhtā thā use lekin shikāyat kī nahīñ
vo purānā āshnā thā bārhā chhaltā rahā
maiñ to ik patthar thā lekin mom ban jaane ke baa'd
vaqt ke sāñche meñ 'hashmat' raat din Dhaltā rahā
'umr bhar jo ek diya iman ka jalta raha
raushni mein us ki main aaram se chalta raha
nekiyan sachchaiyan aur hausla tha mere sath
mushkilon ka samna karta hua chalta raha
dost tha lekin hamesha KHas maqsad ke liye
aastin mein wo meri ek sanp sa palta raha
zindagi guzri ki ek tufan guzra rah se
dekh kar main apna mazi hath hi malta raha
meri ghazlon par hamesha dad ghairon se mili
apne logon ko main aksar bazm mein khulta raha
main samajhta tha use lekin shikayat ki nahin
wo purana aashna tha barha chhalta raha
main to ek patthar tha lekin mom ban jaane ke ba'd
waqt ke sanche mein 'hashmat' raat din Dhalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.