umr bhar ke KHwab ka hasil samajh baiThe hain log
umr bhar ke ḳhvāb kā hāsil samajh baiThe haiñ log
sāya-e-dīvār ko manzil samajh baiThe haiñ log
dasht-o-dariyā se guzar ho yā ḳhalāoñ kā safar
ab bhī āsāñ hai magar mushkil samajh baiThe haiñ log
kis nazar se dekhte haiñ mujh ko sab mālūm hai
apnī jānib se mujhe ġhāfil samajh baiThe haiñ log
zindagī ke ek ik pal kī ḳhabar rakhtā huuñ maiñ
be-niyāz-e-hāl-o-mustaqbil samajh baiThe haiñ log
mauja-e-āfāt kā ruḳh moḌne meñ ġharq huuñ
mujh ko bhī āsūda-e-sāhil samajh baiThe haiñ log
sāzishī parda paḌā hai jhuuT sach ke darmiyāñ
kaun qātil hai kise qātil samajh baiThe haiñ log
kis qadar zī-fahm haiñ sab kis qadar bāliġh-nazar
ek jugnū ko mah-e-kāmil samajh baiThe haiñ log
jo guzartā hai vo Thokar maar detā hai 'zafar'
raah ke patthar ko merā dil samajh baiThe haiñ log
umr bhar ke KHwab ka hasil samajh baiThe hain log
saya-e-diwar ko manzil samajh baiThe hain log
dasht-o-dariya se guzar ho ya KHalaon ka safar
ab bhi aasan hai magar mushkil samajh baiThe hain log
kis nazar se dekhte hain mujh ko sab malum hai
apni jaanib se mujhe ghafil samajh baiThe hain log
zindagi ke ek ek pal ki KHabar rakhta hun main
be-niyaz-e-haal-o-mustaqbil samajh baiThe hain log
mauja-e-afat ka ruKH moDne mein gharq hun
mujh ko bhi aasuda-e-sahil samajh baiThe hain log
sazishi parda paDa hai jhuT sach ke darmiyan
kaun qatil hai kise qatil samajh baiThe hain log
kis qadar zi-fahm hain sab kis qadar baaligh-nazar
ek jugnu ko mah-e-kaamil samajh baiThe hain log
jo guzarta hai wo Thokar mar deta hai 'zafar'
rah ke patthar ko mera dil samajh baiThe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.