umr bhar ki koshish-e-nakaam par hansta hun main
umr bhar ki koshish-e-nakaam par hansta hun main
Syed Akhtar Ali Akhtar
MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar
umr bhar kī koshish-e-nākām par hañstā huuñ maiñ
us ke har āġhāz har anjām par hañstā huuñ maiñ
ye bhī gardish meñ hai saaqī merī qismat kī tarah
tere maiḳhāne meñ daur-e-jām par hañstā huuñ maiñ
shādmānī vasl kī ho yā ho furqat kā alam
jo bhī mil jaa.e usī in.aam par hañstā huuñ maiñ
tohmateñ mujh par haiñ kitnī ai jamāl-e-rū-e-dost
aur merā dil ki har ilzām par hañstā huuñ maiñ
din to kaT jaatā hai 'aḳhtar' paañv ke chakkar ke saath
jo na pahuñche sub.h tak us shaam par hañstā huuñ maiñ
umr bhar ki koshish-e-nakaam par hansta hun main
us ke har aaghaz har anjam par hansta hun main
ye bhi gardish mein hai saqi meri qismat ki tarah
tere maiKHane mein daur-e-jam par hansta hun main
shadmani wasl ki ho ya ho furqat ka alam
jo bhi mil jae usi inam par hansta hun main
tohmaten mujh par hain kitni ai jamal-e-ru-e-dost
aur mera dil ki har ilzam par hansta hun main
din to kaT jata hai 'aKHtar' panw ke chakkar ke sath
jo na pahunche subh tak us sham par hansta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.