umr-bhar kuchh is tarah hum jagte sote rahe
umr-bhar kuchh is tarah ham jāgte sote rahe
bhiiḌ meñ hañste rahe tanhā.ī meñ rote rahe
raushnī kī thī kahāñ fursat jo vo ye sochtī
kaise kaise us kī ḳhātir ham havan hote rahe
dhuup kī fasleñ ugeñgī ye hameñ ma.alūm thā
phir bhī ham sab ke diloñ meñ chāñdnī bote rahe
saare bojhoñ ko baḌā achraj hai kaise ham unheñ
phuul jaisī zindagī kī piiTh par Dhote rahe
un hī zaḳhmoñ ne hameñ sauñpī karāheñ ai 'kuñvar'
jin ke muñh ham āñsuoñ ke niir se dhote rahe
umr-bhar kuchh is tarah hum jagte sote rahe
bhiD mein hanste rahe tanhai mein rote rahe
raushni ki thi kahan fursat jo wo ye sochti
kaise kaise us ki KHatir hum hawan hote rahe
dhup ki faslen ugengi ye hamein malum tha
phir bhi hum sab ke dilon mein chandni bote rahe
sare bojhon ko baDa achraj hai kaise hum unhen
phul jaisi zindagi ki piTh par Dhote rahe
un hi zaKHmon ne hamein saunpi karahen ai 'kunwar'
jin ke munh hum aansuon ke nir se dhote rahe
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 78)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.