umr bhar Thokaren kha-kha ke sanbhalte rahna
umr bhar Thokareñ khā-khā ke sañbhalte rahnā
hausla jiine kā rakhte ho to chalte rahnā
vasl kī raat ho har roz badan kī ḳhvāhish
ḳhaslat-e-ishq hai tā-umr machalte rahnā
sochtā huuñ to bahut der talak hañstā huuñ
merā din bhar tirī galiyoñ meñ Tahalte rahnā
ye duā de ke kahā us ne ke māshā-allāh
jaan se jaane talak ḳhuun ugalte rahnā
roz dar roz yahāñ aabrū luT jaatī hai
itnā āsān kahāñ ghar se nikalte rahnā
is na.e daur meñ chhū lete bulandī lekin
ham ne sīkhā hī nahīñ rang badalte rahnā
ab to shāyad hai yahī apnā muqaddar 'rizvān'
sochnā tujh ko tire hijr meñ jalte rahnā
umr bhar Thokaren kha-kha ke sanbhalte rahna
hausla jine ka rakhte ho to chalte rahna
wasl ki raat ho har roz badan ki KHwahish
KHaslat-e-ishq hai ta-umr machalte rahna
sochta hun to bahut der talak hansta hun
mera din bhar teri galiyon mein Tahalte rahna
ye dua de ke kaha us ne ke masha-allah
jaan se jaane talak KHun ugalte rahna
roz dar roz yahan aabru luT jati hai
itna aasan kahan ghar se nikalte rahna
is nae daur mein chhu lete bulandi lekin
hum ne sikha hi nahin rang badalte rahna
ab to shayad hai yahi apna muqaddar 'rizwan'
sochna tujh ko tere hijr mein jalte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.