Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar Thokaren kha kha ke sanbhalte rahna

Rizwan Haider

umr bhar Thokaren kha kha ke sanbhalte rahna

Rizwan Haider

MORE BYRizwan Haider

    umr bhar Thokareñ khā khā ke sañbhalte rahnā

    hausla jiine rakhte ho to chalte rahnā

    vasl raat ho har roz badan ḳhvāhish

    ḳhaslat-e-ishq hai tā-umr machalte rahnā

    sochtā huuñ to bahut der talak hañstā huuñ

    merā din bhar tirī galiyoñ meñ Tahalte rahnā

    ye duā de ke kahā us ne ke māshā-allāh

    jaan se jaane talak ḳhuun ugalte rahnā

    roz-dar-roz yahāñ aabrū luT jaatī hai

    itnā āsān kahāñ ghar se nikalte rahnā

    is na.e daur meñ chhū lete bulandī lekin

    ham ne sīkhā nahīñ rang badalte rahnā

    ab to shāyad hai yahī apnā muqaddar 'rizvān'

    sochnā tujh ko tire hijr meñ jalte rahnā

    umr bhar Thokaren kha kha ke sanbhalte rahna

    hausla jine ka rakhte ho to chalte rahna

    wasl ki raat ho har roz badan ki KHwahish

    KHaslat-e-ishq hai ta-umr machalte rahna

    sochta hun to bahut der talak hansta hun

    mera din bhar teri galiyon mein Tahalte rahna

    ye dua de ke kaha us ne ke masha-allah

    jaan se jaane talak KHun ugalte rahna

    roz-dar-roz yahan aabru luT jati hai

    itna aasan kahan ghar se nikalte rahna

    is nae daur mein chhu lete bulandi lekin

    hum ne sikha hi nahin rang badalte rahna

    ab to shayad hai yahi apna muqaddar 'rizwan'

    sochna tujh ko tere hijr mein jalte rahna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now