umr bhi kaT gai aur jiya bhi nahin
'umr bhī kaT ga.ī aur jiyā bhī nahīñ
zindagī tujh se koī gila bhī nahīñ
dard jiine kī ik lāzmī shart hai
aur sitam hai ki is kī davā bhī nahīñ
lauTnā hī nahīñ thā mujhe phir kabhī
varna muḌ-muḌ ke ghar dekhtā bhī nahīñ
'aks ko dekh kar apne hairān huuñ
mere kamre meñ to aa.ina bhī nahīñ
zindagī to kabhī jī na paa.e magar
apne hisse meñ jaise qazā bhī nahīñ
bach ke maqtal se to lauT aa.e magar
ab kahāñ jā.eñge kuchh pata bhī nahīñ
log itne bure to nahīñ shaiḳh-jī
aap jaise magar pārsā bhī nahīñ
apnā dil bhī sulagtā sharar hai 'nafas'
jo jalā bhī nahīñ to bujhā bhī nahīñ
'umr bhi kaT gai aur jiya bhi nahin
zindagi tujh se koi gila bhi nahin
dard jine ki ek lazmi shart hai
aur sitam hai ki is ki dawa bhi nahin
lauTna hi nahin tha mujhe phir kabhi
warna muD-muD ke ghar dekhta bhi nahin
'aks ko dekh kar apne hairan hun
mere kamre mein to aaina bhi nahin
zindagi to kabhi ji na pae magar
apne hisse mein jaise qaza bhi nahin
bach ke maqtal se to lauT aae magar
ab kahan jaenge kuchh pata bhi nahin
log itne bure to nahin shaiKH-ji
aap jaise magar parsa bhi nahin
apna dil bhi sulagta sharar hai 'nafas'
jo jala bhi nahin to bujha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.