umr-e-rafta ki kahani kya hai
umr-e-rafta kī kahānī kyā hai
ek tohmat hai javānī kyā hai
mere ashkoñ kī ravānī dekhī
tere ḳhanjar kī ravānī kyā hai
tere mahbūb tabassum kā javāb
merī āshufta-bayānī kyā hai
raat rote hue guzregī zarūr
varna ye dil pe girānī kyā hai
dushman-e-zīst pe jaañ detā huuñ
aur jiine kī nishānī kyā hai
haath meñ teġh hai bal chitvan par
aaj ye aap ne Thānī kyā hai
ahd-e-pīrī meñ rulātī hai lahū
haa.e kambaḳht javānī kyā hai
ek mauhūm sā tūfān-e-ḳhudī
kuchh nahīñ josh-e-javānī kyā hai
umr-e-rafta ki kahani kya hai
ek tohmat hai jawani kya hai
mere ashkon ki rawani dekhi
tere KHanjar ki rawani kya hai
tere mahbub tabassum ka jawab
meri aashufta-bayani kya hai
raat rote hue guzregi zarur
warna ye dil pe girani kya hai
dushman-e-zist pe jaan deta hun
aur jine ki nishani kya hai
hath mein tegh hai bal chitwan par
aaj ye aap ne Thani kya hai
ahd-e-piri mein rulati hai lahu
hae kambaKHt jawani kya hai
ek mauhum sa tufan-e-KHudi
kuchh nahin josh-e-jawani kya hai
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 287)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.