umr-e-rafta mein yun to kya na hua
umr-e-rafta meñ yuuñ to kyā na huā
sirf ik tū hai jo mirā na huā
jaan ham ne nikāl kar rakh dī
phir bhī iz.hār-e-mudda.ā na huā
aaj tarhī nishast thī lekin
vo na aa.e muqābla na huā
phuul jhaḌte haiñ lab jo hilte haiñ
gāliyāñ khā ke be-maza na huā
muntazir huuñ maiñ kitnī muddat se
terā va.ada kabhī vafā na huā
tū hī ai dost ik merā na huā
zer-e-aflāk varna kyā na huā
koī pahūñchā nahīñ hai sāhil par
nā-ḳhudā.ī kā phir gila na huā
kaaT dī mai-kade meñ umr-e-darāz
rind thā 'shād' pārsā na huā
umr-e-rafta mein yun to kya na hua
sirf ek tu hai jo mera na hua
jaan hum ne nikal kar rakh di
phir bhi izhaar-e-muddaa na hua
aaj tarhi nishast thi lekin
wo na aae muqabla na hua
phul jhaDte hain lab jo hilte hain
galiyan kha ke be-maza na hua
muntazir hun main kitni muddat se
tera wada kabhi wafa na hua
tu hi ai dost ek mera na hua
zer-e-aflak warna kya na hua
koi pahuncha nahin hai sahil par
na-KHudai ka phir gila na hua
kaT di mai-kade mein umr-e-daraaz
rind tha 'shad' parsa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.