umr guzri hai sahaare nahin badle maine
umr guzrī hai sahāre nahīñ badle maiñ ne
jo piyāre haiñ vo pyāre nahīñ badle maiñ ne
vahī ākāsh vahī raat kī chādar sar par
chāñd ko dekh ke taare nahīñ badle maiñ ne
niile piile se ye lamhāt haiñ jāgīr mirī
hijr meñ apne ishāre nahīñ badle maiñ ne
muddatoñ baad tirī yaad ke maile kapḌe
kuchh badal bhī diye saare nahīñ badle maiñ ne
maiñ nadī thī to mire saath kinārā tū thā
saath bahtī rahī dhāre nahīñ badle maiñ ne
ḳhvāb ko sub.h kī dahlīz pe le aa.ī huuñ
aañkh kholī hai nazāre nahīñ badle maiñ ne
tere ḳhvāboñ se hī raushan rahā ye dil kā 'diyā'
hijr meñ ḳhvāb tumhāre nahīñ badle maiñ ne
umr guzri hai sahaare nahin badle main ne
jo piyare hain wo pyare nahin badle main ne
wahi aakash wahi raat ki chadar sar par
chand ko dekh ke tare nahin badle main ne
nile pile se ye lamhat hain jagir meri
hijr mein apne ishaare nahin badle main ne
muddaton baad teri yaad ke maile kapDe
kuchh badal bhi diye sare nahin badle main ne
main nadi thi to mere sath kinara tu tha
sath bahti rahi dhaare nahin badle main ne
KHwab ko subh ki dahliz pe le aai hun
aankh kholi hai nazare nahin badle main ne
tere KHwabon se hi raushan raha ye dil ka 'diya'
hijr mein KHwab tumhaare nahin badle main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.