umr guzri hasrat-e-didar mein
'umr guzrī hasrat-e-dīdār meñ
jaan tak de dī ḳhayāl-e-yār meñ
vo haiñ jauhar abrū-e-ḳhamdār meñ
jo nahīñ haiñ teġh meñ talvār meñ
hazrat-e-yūsuf kī āñkheñ khul ga.iiñ
bik chuke jab misr ke bāzār meñ
aañkh milne kī bhī rakhnī chāhiye
sulh kā pahlū rahe takrār meñ
dīn-o-duniyā kī nahīñ ham ko ḳhabar
mahv haiñ ham to ḳhayāl-e-yār meñ
dasht meñ jis ne guzārī zindagī
vo bhalā kyūñkar rahe gulzār meñ
saath dil ke ruuh khiñchtī hai 'rafīq'
hai qayāmat kī kashish guftār meñ
'umr guzri hasrat-e-didar mein
jaan tak de di KHayal-e-yar mein
wo hain jauhar abru-e-KHamdar mein
jo nahin hain tegh mein talwar mein
hazrat-e-yusuf ki aankhen khul gain
bik chuke jab misr ke bazar mein
aankh milne ki bhi rakhni chahiye
sulh ka pahlu rahe takrar mein
din-o-duniya ki nahin hum ko KHabar
mahw hain hum to KHayal-e-yar mein
dasht mein jis ne guzari zindagi
wo bhala kyunkar rahe gulzar mein
sath dil ke ruh khinchti hai 'rafiq'
hai qayamat ki kashish guftar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.