umr ka rog ho wo lazzat-e-aghaz na de
'umr kā rog ho vo lazzat-e-āġhāz na de
merī hastī ko fareb ai nigah-e-nāz na de
Dūbne vaale ubharne kā salīqa hai yahī
Duub jā ġham meñ kisī ko magar āvāz na de
be-niyāzī hai taġhāful hai ki bedardī hai
maiñ tujhe DhūñDhtā rah jā.ūñ tū āvāz na de
ek vīrāna-o-vahshat-kada ban jaa.e jahāñ
husn duniyā ko agar ġhamza-o-andāz na de
tū vo zālim hai ki tū zulm kare naaz kare
dil vo shīsha hai ki TuuTe bhī to āvāz na de
kaun be-dard zamāne meñ sune us kī pukār
daar par chaḌh ke zamāne ko jo āvāz na de
us kī mā'sūm nigāhoñ kī qasam hai 'ārif'
dard hai kis kī amānat kabhī ye raaz na de
'umr ka rog ho wo lazzat-e-aghaz na de
meri hasti ko fareb ai nigah-e-naz na de
Dubne wale ubharne ka saliqa hai yahi
Dub ja gham mein kisi ko magar aawaz na de
be-niyazi hai taghaful hai ki bedardi hai
main tujhe DhunDhta rah jaun tu aawaz na de
ek virana-o-wahshat-kada ban jae jahan
husn duniya ko agar ghamza-o-andaz na de
tu wo zalim hai ki tu zulm kare naz kare
dil wo shisha hai ki TuTe bhi to aawaz na de
kaun be-dard zamane mein sune us ki pukar
dar par chaDh ke zamane ko jo aawaz na de
us ki ma'sum nigahon ki qasam hai 'arif'
dard hai kis ki amanat kabhi ye raaz na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.