umr kaT jaegi apni to ye hajat karte
umr kaT jā.egī apnī to ye hājat karte
tujh ko chaa.e pe bulāte tirī dāvat karte
un ko gar ek nazar dekh liyā jaatā to
vo hamāre hī qabīle kī himāyat karte
tum ne hī haath baḌhāyā thā hamārī jānib
varna ham aañkh milāne kī na jur.at karte
vasl kī shaam mayassar jo hameñ ho jaatī
rāt-bhar ham tirī jī bhar ke ibādat karte
zaḳhm jitne bhī the siine meñ vo bāhar laate
aur har ik ko samajhne meñ suhūlat karte
umr kaT jaegi apni to ye hajat karte
tujh ko chae pe bulate teri dawat karte
un ko gar ek nazar dekh liya jata to
wo hamare hi qabile ki himayat karte
tum ne hi hath baDhaya tha hamari jaanib
warna hum aankh milane ki na jurat karte
wasl ki sham mayassar jo hamein ho jati
raat-bhar hum teri ji bhar ke ibaadat karte
zaKHm jitne bhi the sine mein wo bahar late
aur har ek ko samajhne mein suhulat karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.