umr sari yun shab-e-hijr mein bitegi kya
umr saarī yuuñ shab-e-hijr meñ bītegī kyā
koī dastak sī tire dil pe nahīñ hotī kyā
apne pahlū meñ utarte hue dekhā hai qamar
hogī is ḳhvāb kī ta.abīr kabhī puurī kyā
itne hairān ho tum kis liye āḳhir sāhab
kaun sī duniyā se ho dhuup nahīñ dekhī kyā
ik musavvir merī tasvīr banā kar haarā
kūchiyāñ rangoñ kī maujoñ pe kabhī chaltī kyā
phir tumheñ ilm samundar ke namak kā hogā
os āñkhoñ se kisī kī kabhī tum ne pī kyā
ye jo hangāma bapā rahtā hai din-rāt ‘kamal’
mere dil meñ koī rahne lagā hai vahshī kyā
umr sari yun shab-e-hijr mein bitegi kya
koi dastak si tere dil pe nahin hoti kya
apne pahlu mein utarte hue dekha hai qamar
hogi is KHwab ki tabir kabhi puri kya
itne hairan ho tum kis liye aaKHir sahab
kaun si duniya se ho dhup nahin dekhi kya
ek musawwir meri taswir bana kar haara
kuchiyan rangon ki maujon pe kabhi chalti kya
phir tumhein ilm samundar ke namak ka hoga
os aankhon se kisi ki kabhi tum ne pi kya
ye jo hangama bapa rahta hai din-raat ‘kamal’
mere dil mein koi rahne laga hai wahshi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.