Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr sahra-e-KHamoshi mein guzaren kaise

Abid Almi

umr sahra-e-KHamoshi mein guzaren kaise

Abid Almi

MORE BYAbid Almi

    umr sahrā-e-ḳhamoshī meñ guzāreñ kaise

    baar baar us jagah ḳhud ko pukāreñ kaise

    TikTikī bāñdh ke maiñ dekh rahā thā phir bhī

    kaT ga.ī merī nigāhoñ se bahāreñ kaise

    jis meñ tūfāñ hai na tūfān ke koī āsār

    kashtiyāñ aise samundar meñ utāreñ kaise

    raat ke dasht meñ nādīda dayāroñ safar

    aisī sūrat meñ koī raah sañvāreñ kaise

    log 'ābid' ke liye sang-ba-kaf phirte haiñ

    us ko is shahr galiyoñ se guzāreñ kaise

    umr sahra-e-KHamoshi mein guzaren kaise

    bar bar us ki jagah KHud ko pukaren kaise

    TikTiki bandh ke main dekh raha tha phir bhi

    kaT gai meri nigahon se bahaaren kaise

    jis mein tufan hai na tufan ke koi aasar

    kashtiyan aise samundar mein utaren kaise

    raat ke dasht mein nadida dayaron ka safar

    aisi surat mein koi rah sanwaren kaise

    log 'abid' ke liye sang-ba-kaf phirte hain

    us ko is shahr ki galiyon se guzaren kaise

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now