un aankhon se pahle bhi kahin baat hui hai
un āñkhoñ se pahle bhī kahīñ baat huī hai
sochūñgā kahāñ tum se mulāqāt huī hai
taqdīs-e-mohabbat pe kahīñ harf na aa.e
taskīn-e-havas shāmil-e-jazbāt huī hai
ye raushnī shā.ista ujāloñ kā hai dhoka
ai dost abhī ḳhatm kahāñ raat huī hai
hālāt hī aise haiñ ki thamte nahīñ aañsū
ab zindagī be-vaqt kī barsāt huī hai
jis roz se ham shahr-e-tamannā meñ luTe haiñ
afsurdagī ham-shakl-e-munājāt huī hai
tum bhī to 'ra.īs' aaj na.e zehn se socho
ab tak to ġhazal nazr-e-rivāyāt huī hai
un aankhon se pahle bhi kahin baat hui hai
sochunga kahan tum se mulaqat hui hai
taqdis-e-mohabbat pe kahin harf na aae
taskin-e-hawas shamil-e-jazbaat hui hai
ye raushni shaista ujalon ka hai dhoka
ai dost abhi KHatm kahan raat hui hai
haalat hi aise hain ki thamte nahin aansu
ab zindagi be-waqt ki barsat hui hai
jis roz se hum shahr-e-tamanna mein luTe hain
afsurdagi ham-shakl-e-munajat hui hai
tum bhi to 'rais' aaj nae zehn se socho
ab tak to ghazal nazr-e-riwayat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.