un dinon humne KHayalon pe tasarruf kiya tha
un dinoñ ham ne ḳhayāloñ pe tasarruf kiyā thā
shā'irī tark nahīñ kī thī tavaqquf kiyā thā
jaane kyā thā vo ta'alluq ki judā hote hue
ham bhī pachhtā.e the us ne bhī ta.assuf kiyā thā
kaisī hasrat se hameñ dekh rahā thā vo ġham
pesh jab ham ne use dil kā ta'āruf kiyā thā
raat yādoñ ne ka.ī pahr masāfat ke baġhair
manzil-e-chashm sajāne kā takalluf kiyā thā
'ishq ik 'umr salīqe se chhupāyā thā 'nafīs'
yā'nī ik 'umr talak kār-e-tasavvuf kiyā thā
un dinon hum ne KHayalon pe tasarruf kiya tha
sha'iri tark nahin ki thi tawaqquf kiya tha
jaane kya tha wo ta'alluq ki juda hote hue
hum bhi pachhtae the us ne bhi tassuf kiya tha
kaisi hasrat se hamein dekh raha tha wo gham
pesh jab hum ne use dil ka ta'aruf kiya tha
raat yaadon ne kai pahr masafat ke baghair
manzil-e-chashm sajaane ka takalluf kiya tha
'ishq ek 'umr saliqe se chhupaya tha 'nafis'
ya'ni ek 'umr talak kar-e-tasawwuf kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.