un dinon ka zikr hai jab usko dekha bhi na tha
un dinoñ kā zikr hai jab us ko dekhā bhī na thā
zehn meñ vāzeh koī harf-e-tamannā bhī na thā
ab magar vo dil ke qarye qarye meñ ābād hai
haañ guzishta vaqt meñ kuchh itnā pyārā bhī na thā
aur āñkheñ ik 'ajab se nuur se sairāb thiiñ
us kā chehra hāthoñ meñ thā chāñd niklā bhī na thā
is qadar sarshār the ham pyaar ke ehsās meñ
tai huī kab vasl-manzil dhyān aayā bhī na thā
aaj sochūñ to koī ik ḳhvāb sā lagtī hai vo
us se milnā bāteñ karnā ḳhvāb aisā bhī na thā
un dinon ka zikr hai jab us ko dekha bhi na tha
zehn mein wazeh koi harf-e-tamanna bhi na tha
ab magar wo dil ke qarye qarye mein aabaad hai
han guzishta waqt mein kuchh itna pyara bhi na tha
aur aankhen ek 'ajab se nur se sairab thin
us ka chehra hathon mein tha chand nikla bhi na tha
is qadar sarshaar the hum pyar ke ehsas mein
tai hui kab wasl-manzil dhyan aaya bhi na tha
aaj sochun to koi ek KHwab sa lagti hai wo
us se milna baaten karna KHwab aisa bhi na tha
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 38)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.