un dinon meri yari thi sahraon se bagh mein koi din bhi main jata na tha
un dinon meri yari thi sahraon se bagh mein koi din bhi main jata na tha
Miqdad Ahsan
MORE BYMiqdad Ahsan
un dinoñ merī yaarī thī sahrāoñ se baaġh meñ koī din bhī maiñ jaatā na thā
ḳhauf aatā thā lahroñ se behad mujhe aur dariyā bhī sāhil pe aatā na thā
maiñ ne tanhā.ī meñ kaaT dī zindagī yaar ġham-ḳhvār koī nahīñ thā mirā
bolne kī sakat mujh meñ thī hī nahīñ aur vaise bhī koī bulātā na thā
ek din us kī āñkhoñ ne sab paḌh liye dil sahīfe pe likkhe hue vāqa'e
jo bhulā.e nahīñ jā sake the kabhī jo zabāñ par the lekin sunātā na thā
ḳhvāb marte to e'lān kartā thā maiñ aur ḳhud se lipaTtā thā rote hue
ek duniyā tamannā.ī thī aur maiñ vo janāze kisī ko dikhātā na thā
kyā tujhe yaad hai ai mire zard-rū un dinoñ terā shaidā.ī hotā thā maiñ
jab tire jism par mausam-e-sabz thā koī phir bhī tire giit gaatā na thā
un dinon meri yari thi sahraon se bagh mein koi din bhi main jata na tha
KHauf aata tha lahron se behad mujhe aur dariya bhi sahil pe aata na tha
main ne tanhai mein kaT di zindagi yar gham-KHwar koi nahin tha mera
bolne ki sakat mujh mein thi hi nahin aur waise bhi koi bulata na tha
ek din us ki aankhon ne sab paDh liye dil sahife pe likkhe hue waqa'e
jo bhulae nahin ja sake the kabhi jo zaban par the lekin sunata na tha
KHwab marte to e'lan karta tha main aur KHud se lipaTta tha rote hue
ek duniya tamannai thi aur main wo janaze kisi ko dikhata na tha
kya tujhe yaad hai ai mere zard-ru un dinon tera shaidai hota tha main
jab tere jism par mausam-e-sabz tha koi phir bhi tere git gata na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.