un hi peDon pe ki sayon ka guman rakhte hain
un hī peḌoñ pe ki sāyoñ kā gumāñ rakhte haiñ
munhasir apne liye aag dhuāñ rakhte haiñ
jaise poshāk pe poshāk pahan kar nikleñ
ḳhud ko āzād takalluf se kahāñ rakhte haiñ
ham bhī añgūr kī shāḳhoñ kī tarah uTh uTh kar
haa.e taqdīr ba-dast-e-digrāñ rakhte haiñ
zalzale ā.eñge taslīm bajā lā.eñge
zohd-pindār abhī koh-e-girāñ rakhte haiñ
pahle dīvāngī kī had hī nahīñ khīñchtī thī
sāmne ab ram-e-āhū ke nishāñ rakhte haiñ
is qadar fāsle phailā ke kahāñ baiThā hai
tujhe to paas hī misl-e-rag-e-jāñ rakhte haiñ
un hi peDon pe ki sayon ka guman rakhte hain
munhasir apne liye aag dhuan rakhte hain
jaise poshak pe poshak pahan kar niklen
KHud ko aazad takalluf se kahan rakhte hain
hum bhi angur ki shaKHon ki tarah uTh uTh kar
hae taqdir ba-dast-e-digran rakhte hain
zalzale aaenge taslim baja laenge
zohd-pindar abhi koh-e-giran rakhte hain
pahle diwangi ki had hi nahin khinchti thi
samne ab ram-e-ahu ke nishan rakhte hain
is qadar fasle phaila ke kahan baiTha hai
tujhe to pas hi misl-e-rag-e-jaan rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.