un ka jaana to ek bahana tha
un kā jaanā to ik bahānā thā
maut ko yuuñ bhī jald aanā thā
be-ḳhudī meñ use batā baiThe
raaz jo ḳhud se bhī chhupānā thā
kyoñ na aate ḳhushī ḳhushī taa.ir
daam meñ muft āb-o-dāna thā
dil tujhe kyoñ sukūñ nahīñ paḌtā
kyā abhī aur kuchh luTānā thā
saḳht ik marhala thī yaad tirī
aur us par tujhe bhulānā thā
talḳh har baat sach nahīñ hotī
un kā maqsad to dil dukhānā thā
aur bhī ḳhvāhisheñ thiiñ duniyā meñ
dil kahīñ aur lag hī jaanā thā
un ka jaana to ek bahana tha
maut ko yun bhi jald aana tha
be-KHudi mein use bata baiThe
raaz jo KHud se bhi chhupana tha
kyon na aate KHushi KHushi tair
dam mein muft aab-o-dana tha
dil tujhe kyon sukun nahin paDta
kya abhi aur kuchh luTana tha
saKHt ek marhala thi yaad teri
aur us par tujhe bhulana tha
talKH har baat sach nahin hoti
un ka maqsad to dil dukhana tha
aur bhi KHwahishen thin duniya mein
dil kahin aur lag hi jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.