un ka raha mizaj jo barham tamam raat
un kā rahā mizāj jo barham tamām raat
kuchh arz-e-hāl kar na sake ham tamām raat
dikhlā.e husn-o-ishq ne aalam tamām raat
mahtāb vo chakor rahe ham tamām raat
aatā hai yaar sub.h ko jaatā hai shaam ko
din-bhar hai ghar bahisht jahannum tamām raat
ai chashm kar na din ko to ifshā-e-rāz-e-ishq
rone ke vāste nahīñ kuchh kam tamām raat
allah re ishtiyāq ki sotā rahā vo maah
haale kī tarah gird phire ham tamām raat
insāñ huuñ kyoñ na ro.uuñ jo poshīda ho vo ruḳh
be-āftāb rotī hai shabnam tamām raat
kyā kyā na ham ne kiiñ shab-e-vasl us kī minnateñ
sar yaar ke qadam pe rahā ḳham tamām raat
zindāñ kā haal pūchhte ho qaidiyoñ se kyā
din-bhar to dhuup paḌtī hai shabnam tamām raat
mar mar gayā maiñ bazm-e-tarab meñ baġhair yaar
mutrib kī taal mujh ko huī sam tamām raat
tum vaqt-e-shām ghar talak aa kar jo phir ga.e
ulTā marīz-e-ġham kā chalā dam tamām raat
huuñ vo marīz-e-ishq ki karte haiñ mujh pe dam
paḌh kar masīh sūra-e-mariyam tamām raat
auroñ ko aish ham ko ġham-e-hijr ai falak
sote hī ḳhalq jāgte haiñ ham tamām raat
teġh-e-nigāh-e-yār se Dartī hai fauj kam
kaisī safeñ haiñ barham-o-darham tamām raat
parvāne us taraf to idhar jal rahī hai sham.a
ye turfa iḳhtilāt hai bāham tamām raat
kī shaam ham ne sūrat-e-bismil taḌap ke sub.h
dard-e-jigar zarā na huā kam tamām raat
jab se bahisht-e-kūcha-e-jānāñ se haiñ judā
girte haiñ uTh ke ham qad-e-ādam tamām raat
kis kā ḳhayāl hai ye ilāhī ki misl-e-chashm
rahtā hai ghar meñ nuur kā aalam tamām raat
ghar hijr meñ jo ta.aziya-ḳhāne se kam nahīñ
paḌh paḌh ke nauha karte haiñ mātam tamām raat
us gul-badan ke ishq meñ ro.uuñ na kyoñ 'asīr'
hai mujh ko rashk-e-tāle.a-e-shabnam tamām raat
un ka raha mizaj jo barham tamam raat
kuchh arz-e-haal kar na sake hum tamam raat
dikhlae husn-o-ishq ne aalam tamam raat
mahtab wo chakor rahe hum tamam raat
aata hai yar subh ko jata hai sham ko
din-bhar hai ghar bahisht jahannum tamam raat
ai chashm kar na din ko to ifsha-e-raaz-e-ishq
rone ke waste nahin kuchh kam tamam raat
allah re ishtiyaq ki sota raha wo mah
haale ki tarah gird phire hum tamam raat
insan hun kyon na roun jo poshida ho wo ruKH
be-aftab roti hai shabnam tamam raat
kya kya na hum ne kin shab-e-wasl us ki minnaten
sar yar ke qadam pe raha KHam tamam raat
zindan ka haal puchhte ho qaidiyon se kya
din-bhar to dhup paDti hai shabnam tamam raat
mar mar gaya main bazm-e-tarab mein baghair yar
mutrib ki tal mujh ko hui sam tamam raat
tum waqt-e-sham ghar talak aa kar jo phir gae
ulTa mariz-e-gham ka chala dam tamam raat
hun wo mariz-e-ishq ki karte hain mujh pe dam
paDh kar masih sura-e-mariyam tamam raat
auron ko aish hum ko gham-e-hijr ai falak
sote hi KHalq jagte hain hum tamam raat
tegh-e-nigah-e-yar se Darti hai fauj kam
kaisi safen hain barham-o-darham tamam raat
parwane us taraf to idhar jal rahi hai shama
ye turfa iKHtilat hai baham tamam raat
ki sham hum ne surat-e-bismil taDap ke subh
dard-e-jigar zara na hua kam tamam raat
jab se bahisht-e-kucha-e-jaanan se hain juda
girte hain uTh ke hum qad-e-adam tamam raat
kis ka KHayal hai ye ilahi ki misl-e-chashm
rahta hai ghar mein nur ka aalam tamam raat
ghar hijr mein jo taziya-KHane se kam nahin
paDh paDh ke nauha karte hain matam tamam raat
us gul-badan ke ishq mein roun na kyon 'asir'
hai mujh ko rashk-e-talea-e-shabnam tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.