un ke aage hum bhala itne ziyaada kab khule
un ke aage hum bhala itne ziyaada kab khule
Ashvini Kumar Tripathi
MORE BYAshvini Kumar Tripathi
un ke aage ham bhalā itne ziyāda kab khule
bolne ko aañkh se baḌh kar haiñ jin ke lab khule
tez do-pahrī ho chāhe sub.h ho yā shaam ho
raat honā tai hai terī zulf chāhe jab khule
kashmakash meñ huuñ ki maiñ kis rang kā tohfa chunūñ
rang jitne haiñ jahāñ meñ tujh pe sab ke sab khule
vasl kī rāteñ mileñ yā hijr kī rāteñ sahī
raaz un ke dil kā mere sāmne yārab khule
dil ke darvāze pe dastak ho ga.ī vo khul gayā
ye nahīñ vo shai ki jab tum chaah lo bas tab khule
pattharoñ kī choT se tab tab hameñ toḌā gayā
aa.ina ban kar kisī ke sāmne jab jab khule
un ke aage hum bhala itne ziyaada kab khule
bolne ko aankh se baDh kar hain jin ke lab khule
tez do-pahri ho chahe subh ho ya sham ho
raat hona tai hai teri zulf chahe jab khule
kashmakash mein hun ki main kis rang ka tohfa chunun
rang jitne hain jahan mein tujh pe sab ke sab khule
wasl ki raaten milen ya hijr ki raaten sahi
raaz un ke dil ka mere samne yarab khule
dil ke darwaze pe dastak ho gai wo khul gaya
ye nahin wo shai ki jab tum chah lo bas tab khule
pattharon ki choT se tab tab hamein toDa gaya
aaina ban kar kisi ke samne jab jab khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.