un ke baghair chain na aae to kya karun
un ke baghair chain na aae to kya karun
Ehsan Akhtar Ghazipuri
MORE BYEhsan Akhtar Ghazipuri
un ke baġhair chain na aa.e to kyā karūñ
har-dam unhīñ kī yaad satā.e to kyā karūñ
yuuñ to ḳhud āshiyāñ se qafas bhī qarīb hai
bijlī bas āshiyāñ ko jalā.e to kyā karūñ
zarre haiñ sang-e-mīl sitāre haiñ rāhbar
manzil jo koī phir bhī na paa.e to kyā karūñ
bādal bhī hai bahār bhī hai be-ḳhudī bhī hai
aise meñ un kī yaad satā.e to kyā karūñ
tauba ko maiñ aziiz huuñ tauba mujhe aziiz
lekin koī nazar se pilā.e to kyā karūñ
jī to rahā huuñ hasrat-e-jalva liye hue
hasrat jo diid kī na bar aa.e to kyā karūñ
aa.ī to hai chaman meñ bahār-e-chaman magar
phūloñ ko e.atibār na aa.e to kyā karūñ
tauba phir aaj jaan ke 'aḳhtar' ne toḌ dī
fitrat se apnī baaz na aa.e to kyā karūñ
un ke baghair chain na aae to kya karun
har-dam unhin ki yaad satae to kya karun
yun to KHud aashiyan se qafas bhi qarib hai
bijli bas aashiyan ko jalae to kya karun
zarre hain sang-e-mil sitare hain rahbar
manzil jo koi phir bhi na pae to kya karun
baadal bhi hai bahaar bhi hai be-KHudi bhi hai
aise mein un ki yaad satae to kya karun
tauba ko main aziz hun tauba mujhe aziz
lekin koi nazar se pilae to kya karun
ji to raha hun hasrat-e-jalwa liye hue
hasrat jo did ki na bar aae to kya karun
aai to hai chaman mein bahaar-e-chaman magar
phulon ko eatibar na aae to kya karun
tauba phir aaj jaan ke 'aKHtar' ne toD di
fitrat se apni baz na aae to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.