un ke baghair kaise bhala shab basar karen
un ke baġhair kaise bhalā shab basar kareñ
ḳhvāboñ meñ aa.eñ vo ki zarā shab basar kareñ
parda uThā hijāb uThā koī baat kar
so.e hue badan ko jagā shab basar kareñ
tū niiñd hai charāġh hai tū dil kā chain hai
tere baġhair kaise bhalā shab basar kareñ
chup-chāp ek dūsre ko dekhte haiñ ham
ai chāñd koī baat banā shab basar kareñ
kartī huuñ maiñ bhī jism jalāne kā faisla
tū bhī magar charāġh bujhā shab basar kareñ
jab zindagī azaab kī sūrat ho hijr meñ
is hālat-e-ḳharāb meñ kyā shab basar kareñ
'māhīn' kah rahā hai mirā yār-e-bevafā
dil ke diye kī lau ko baḌhā shab basar kareñ
ik umr ho ga.ī hai basar shab kiye hue
'māhīn' rūThā yaar manā shab basar kareñ
un ke baghair kaise bhala shab basar karen
KHwabon mein aaen wo ki zara shab basar karen
parda uTha hijab uTha koi baat kar
soe hue badan ko jaga shab basar karen
tu nind hai charagh hai tu dil ka chain hai
tere baghair kaise bhala shab basar karen
chup-chap ek dusre ko dekhte hain hum
ai chand koi baat bana shab basar karen
karti hun main bhi jism jalane ka faisla
tu bhi magar charagh bujha shab basar karen
jab zindagi azab ki surat ho hijr mein
is haalat-e-KHarab mein kya shab basar karen
'mahin' kah raha hai mera yar-e-bewafa
dil ke diye ki lau ko baDha shab basar karen
ek umr ho gai hai basar shab kiye hue
'mahin' ruTha yar mana shab basar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.