un ke dil par gham-e-pinhan ka asar kya hoga
un ke dil par ġham-e-pinhāñ kā asar kyā hogā
jo idhar haal huā hai vo udhar kyā hogā
sab ke sab jalva-e-āġhāz-e-sahar meñ gum haiñ
kis ko ma.alūm hai anjām-e-sahar kyā hogā
zarra zarra pe ho jab ḳhauf-e-ḳhizāñ kā pahra
phuul par fasl-e-bahārāñ kā asar kyā hogā
rāh-e-dushvār bhī ho jaa.e yakāyak āsāñ
vo agar saath hoñ ehsās-e-safar kyā hogā
tere andāz-e-nazar hī pe haiñ nazreñ sab kī
dekhnā hai tirā andāz-e-nazar kyā hogā
jāda-e-ġham ke ḳham-o-pech se Darne vaalo
tum se duniyā kā koī ma.arka sar kyā hogā
aib ko vo jo hunar kahte haiñ kahne de 'zamīr'
aib har haal meñ hai aib hunar kyā hogā
un ke dil par gham-e-pinhan ka asar kya hoga
jo idhar haal hua hai wo udhar kya hoga
sab ke sab jalwa-e-aghaz-e-sahar mein gum hain
kis ko malum hai anjam-e-sahar kya hoga
zarra zarra pe ho jab KHauf-e-KHizan ka pahra
phul par fasl-e-bahaaran ka asar kya hoga
rah-e-dushwar bhi ho jae yakayak aasan
wo agar sath hon ehsas-e-safar kya hoga
tere andaz-e-nazar hi pe hain nazren sab ki
dekhna hai tera andaz-e-nazar kya hoga
jada-e-gham ke KHam-o-pech se Darne walo
tum se duniya ka koi marka sar kya hoga
aib ko wo jo hunar kahte hain kahne de 'zamir'
aib har haal mein hai aib hunar kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.