un ke honTon pe kyon hansi kam hai
un ke hoñToñ pe kyoñ hañsī kam hai
kyā mirī aañkh meñ namī kam hai
mere mahbūb phir koī jalva
chashm-e-bīnā meñ raushnī kam hai
hasrat-e-dīd rah na jaa.e kahīñ
aa bhī jaao ki zindagī kam hai
kyā kisī ne naqāb sarkā dī
kyoñ sitāroñ meñ raushnī kam hai
naqsh-e-pā un kā chuum lete haiñ
kyā hamārī ye bandagī kam hai
jaane kaise bahār aa.ī hai
lāla-o-gul pe tāzgī kam hai
kyoñ maiñ barsāt kī duā māñgūñ
kyā mirī aañkh meñ namī kam hai
sham.a kī lau pe raqs karte haiñ
jin patangoñ kī zindagī kam hai
baat kyā hai ki dil kī betābi
kal bhī kam thī aur aaj bhī kam hai
mere ġham kā hai ye asar 'aḳhtar'
un ke hoñToñ pe bhī hañsī kam hai
un ke honTon pe kyon hansi kam hai
kya meri aankh mein nami kam hai
mere mahbub phir koi jalwa
chashm-e-bina mein raushni kam hai
hasrat-e-did rah na jae kahin
aa bhi jao ki zindagi kam hai
kya kisi ne naqab sarka di
kyon sitaron mein raushni kam hai
naqsh-e-pa un ka chum lete hain
kya hamari ye bandagi kam hai
jaane kaise bahaar aai hai
lala-o-gul pe tazgi kam hai
kyon main barsat ki dua mangun
kya meri aankh mein nami kam hai
shama ki lau pe raqs karte hain
jin patangon ki zindagi kam hai
baat kya hai ki dil ki betabi
kal bhi kam thi aur aaj bhi kam hai
mere gham ka hai ye asar 'aKHtar'
un ke honTon pe bhi hansi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.