un ke husn-o-jamal ki surat
un ke husn-o-jamāl kī sūrat
jaise dilkash ḳhayāl kī sūrat
zindagī yuuñ bhī ik muamma hai
zulf-e-ambar ke jaal kī sūrat
ek maiñ huuñ aur ek jaan mirī
baaqī sab kuchh vabāl kī sūrat
jo bhī dushman haiñ paal rakkhe haiñ
sabhī ahl-o-ayāl kī sūrat
ik kahānī thī jo ki ḳhatm huī
vahshat-e-māh-o-sāl kī sūrat
shahr-e-ḳhāna-ḳharāb meñ 'barham'
jī rahe haiñ kamāl kī sūrat
un ke husn-o-jamal ki surat
jaise dilkash KHayal ki surat
zindagi yun bhi ek muamma hai
zulf-e-ambar ke jal ki surat
ek main hun aur ek jaan meri
baqi sab kuchh wabaal ki surat
jo bhi dushman hain pal rakkhe hain
sabhi ahl-o-ayal ki surat
ek kahani thi jo ki KHatm hui
wahshat-e-mah-o-sal ki surat
shahr-e-KHana-KHarab mein 'barham'
ji rahe hain kamal ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.