un ke husn-o-shabab ka aalam
un ke husn-o-shabāb kā 'ālam
laala māh-o-gulāb kā 'ālam
hai baḌe intiḳhāb kā 'ālam
ḳhūb-tar āñ-janāb kā 'ālam
turfa 'ālam vo mus.haf-e-ruḳh kā
jaise haq kī kitāb kā 'ālam
jalva-e-bazm-e-'ālam-e-imkāñ
dar-haqīqat ye ḳhvāb kā 'ālam
nigah-e-mast-e-yār kyā kahiye
jaise jām-e-sharāb kā 'ālam
tum ko paanī jo aa rahā hai nazar
asl meñ ik sarāb kā 'ālam
un kā 'ālam hai yuuñ pa.e-'āshiq
jaise 'izzat-ma.āb kā 'ālam
kis qadar hai dil-o-nazar afroz
aap ke intisāb kā 'ālam
un kā rū-e-hasīn ai 'in'ām'
jalva-e-māhtāb kā 'ālam
un ke husn-o-shabab ka 'alam
lala mah-o-gulab ka 'alam
hai baDe intiKHab ka 'alam
KHub-tar aan-janab ka 'alam
turfa 'alam wo mushaf-e-ruKH ka
jaise haq ki kitab ka 'alam
jalwa-e-bazm-e-'alam-e-imkan
dar-haqiqat ye KHwab ka 'alam
nigah-e-mast-e-yar kya kahiye
jaise jam-e-sharab ka 'alam
tum ko pani jo aa raha hai nazar
asl mein ek sarab ka 'alam
un ka 'alam hai yun pae-'ashiq
jaise 'izzat-maab ka 'alam
kis qadar hai dil-o-nazar afroz
aap ke intisab ka 'alam
un ka ru-e-hasin ai 'in'am'
jalwa-e-mahtab ka 'alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.