un ke huzur nazr-e-mayassar hi le chalen
un ke huzūr nazr-e-mayassar hī le chaleñ
aañsū nahīñ to ḳhushk samundar hī le chaleñ
iḳhlās chāhtā hai unheñ apnā ham-safar
vo ḳhvāh āstīn meñ ḳhanjar hī le chaleñ
ham izn-e-arz-e-hāl pe ab kashmakash meñ haiñ
dil ko ye zid hai shauq kā daftar hī le chaleñ
ganj-e-qafas meñ hogī na ye bazm-e-rang-o-bū
manzar jo sāmne hai vo manzar hī le chaleñ
dāman meñ gul nahīñ to barā-e-subūt-e-sair
sehn-e-chaman se ḳhaar ke nashtar hī le chaleñ
sarmāya-e-'urūj' haiñ taaza ġhazal ke phuul
bazm-e-suḳhan meñ shāḳh-e-gul-e-tar hī le chaleñ
un ke huzur nazr-e-mayassar hi le chalen
aansu nahin to KHushk samundar hi le chalen
iKHlas chahta hai unhen apna ham-safar
wo KHwah aastin mein KHanjar hi le chalen
hum izn-e-arz-e-haal pe ab kashmakash mein hain
dil ko ye zid hai shauq ka daftar hi le chalen
ganj-e-qafas mein hogi na ye bazm-e-rang-o-bu
manzar jo samne hai wo manzar hi le chalen
daman mein gul nahin to bara-e-subut-e-sair
sehn-e-chaman se KHar ke nashtar hi le chalen
sarmaya-e-'uruj' hain taza ghazal ke phul
bazm-e-suKHan mein shaKH-e-gul-e-tar hi le chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.