un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain
un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain
Urooj Zaidi Badayuni
MORE BYUrooj Zaidi Badayuni
Interesting Fact
A Ghazal in the meter Ramal Musamman Saalim, which is not very popular in Urdu.
un ke is kufr-e-bayāñ se kitne afsāne bane haiñ
aap dīvāne nahīñ haiñ aap dīvāne bane haiñ
jab havā kā ruḳh zarā badlā to afsāne bane haiñ
ḳhuun kā rishta thā jin se vo bhī begāne bane haiñ
ham to nām-e-dost ko gin gin ke lenā kufr samjhe
zāhidoñ ke vāste tasbīh ke daane bane haiñ
husn kā jazb-o-asar kyā ā.ina-sāmāñ nahīñ hai
sham.a nādīda hai lekin log parvāne bane haiñ
maut se Takrā ke jiinā un kī shān-e-zindagī hai
harche bādā-bād kahne vaale dīvāne bane haiñ
inqilāb-e-vaqt se pahle kī duniyā ab kahāñ hai
jin meñ raqsāñ chāñdnī thī vo siyah-ḳhāne bane haiñ
ham meñ kuchh apnī jagah haiñ dānish-o-bīnish se aarī
aur banñe kā ye aalam hai ki farzāne bane haiñ
bahs hai is mas.ale par ḳhalvatoñ meñ jalvatoñ meñ
kis ne dīvāna banāyā kitne dīvāne bane haiñ
jis tarah har phuul kī ḳhushbū alag rangat judā hai
fitrat-e-insāñ bhī yūñhī apne begāne bane haiñ
us ke hote sāġhar-o-sahbā kī gunjā.ish nahīñ hai
jis kī āñkhoñ ke namūne par hī maiḳhāne bane haiñ
ham haqīqat hī haqīqat haiñ 'urūj' is ḳhāk-dāñ meñ
is haqīqat ko bhulā dene se afsāne bane haiñ
un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain
aap diwane nahin hain aap diwane bane hain
jab hawa ka ruKH zara badla to afsane bane hain
KHun ka rishta tha jin se wo bhi begane bane hain
hum to nam-e-dost ko gin gin ke lena kufr samjhe
zahidon ke waste tasbih ke dane bane hain
husn ka jazb-o-asar kya aaina-saman nahin hai
shama nadida hai lekin log parwane bane hain
maut se Takra ke jina un ki shan-e-zindagi hai
harche baada-baad kahne wale diwane bane hain
inqilab-e-waqt se pahle ki duniya ab kahan hai
jin mein raqsan chandni thi wo siyah-KHane bane hain
hum mein kuchh apni jagah hain danish-o-binish se aari
aur banne ka ye aalam hai ki farzane bane hain
bahs hai is masale par KHalwaton mein jalwaton mein
kis ne diwana banaya kitne diwane bane hain
jis tarah har phul ki KHushbu alag rangat juda hai
fitrat-e-insan bhi yunhi apne begane bane hain
us ke hote saghar-o-sahba ki gunjaish nahin hai
jis ki aankhon ke namune par hi maiKHane bane hain
hum haqiqat hi haqiqat hain 'uruj' is KHak-dan mein
is haqiqat ko bhula dene se afsane bane hain
- Book : Lahje ke Chiraag (Pg. 135)
- Author : Urooj Zaidi
- Publication : Irfan Zaidi, Rampur (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.