un ke jaur-o-jafa un ke zulm-o-sitam sare aalam mein maruf-o-mashhur hain
un ke jaur-o-jafa un ke zulm-o-sitam sare aalam mein maruf-o-mashhur hain
Mohammad Shamsuddin Aajiz
MORE BYMohammad Shamsuddin Aajiz
un ke jaur-o-jafā un ke zulm-o-sitam saare aalam meñ ma.arūf-o-mash.hūr haiñ
kyā kareñ dil magar māntā hī nahīñ dil ke hāthoñ baḌe ham to majbūr haiñ
vaah vaah shaiḳh jī aap bhī ḳhuub haiñ itne taḌke chale aa ga.e haiñ yahāñ
raat pī lī thī ham ne bahut tez-tar kyā mileñ kyā kaheñ ab to ma.azūr haiñ
kyā vo aa.e bhī the kyā chale bhī ga.e kyā sabab hai ki hiltī hai zanjīr bhī
ho ga.ī hai sahar par nahīñ hai ḳhabar kab chaḌhā thā nasha kab se maḳhmūr haiñ
bolā jā ke koī vo jo haiñ be-ḳhatā jin ko kahte haiñ sab 'ājiz'-e-bevafā
haiñ vahī zeb-e-sang-e-dar-e-āstāñ jam ke baiThe haiñ aur shād-o-masrūr haiñ
un ke jaur-o-jafa un ke zulm-o-sitam sare aalam mein maruf-o-mashhur hain
kya karen dil magar manta hi nahin dil ke hathon baDe hum to majbur hain
wah wah shaiKH ji aap bhi KHub hain itne taDke chale aa gae hain yahan
raat pi li thi hum ne bahut tez-tar kya milen kya kahen ab to mazur hain
kya wo aae bhi the kya chale bhi gae kya sabab hai ki hilti hai zanjir bhi
ho gai hai sahar par nahin hai KHabar kab chaDha tha nasha kab se maKHmur hain
bola ja ke koi wo jo hain be-KHata jin ko kahte hain sab 'ajiz'-e-bewafa
hain wahi zeb-e-sang-e-dar-e-astan jam ke baiThe hain aur shad-o-masrur hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.