un ke partaw ne kiye naqsh ujagar kitne
un ke partav ne kiye naqsh ujāgar kitne
parda-e-dil pe numāyāñ hue manzar kitne
kyā qayāmat hai ki ab ḳhud se bhī rūposhī hai
ġham ubhar aa.e mire qad ke barābar kitne
un ke andāz-e-taġhāful ko ḳhabar tak na huī
merī rusvā.ī ke charche hue ghar-ghar kitne
sar-bulandī kī umīdeñ to liye baiThe haiñ
ham ne sochā nahīñ ilzām haiñ sar par kitne
ġhair to ġhair haiñ apnoñ se bhī pūchhā na gayā
āstīnoñ meñ chhupā rakkhe haiñ ḳhanjar kitne
vaqt paḌne pe ye andāza bhī ho jā.egā
phuul kitne tire dāman meñ haiñ patthar kitne
Duub marnā hī muqaddar hai to ab kyā socheñ
mauj-dar-mauj haiñ sāhil pe samundar kitne
kis ko ma.alūm thā manzil kā pata milte hī
apne me.ayār se gir jā.eñge rahbar kitne
dīda-e-shauq se kis kis kā ta.āruf hogā
ek paikar meñ simaT ā.eñge paikar kitne
sāqī-e-vaqt kī sarshār nigāhī kī qasam
be-piye mast haiñ mai-ḳhāne se bāhar kitne
jab kisī mehr-e-munavvar kī nazar phirtī hai
Duub jaate haiñ sitāroñ ke muqaddar kitne
kis kī taqdīr meñ tauqīr-e-ayāzī hogī
sar-ba-sajda hue mahmūd-o-sikandar kitne
ai 'rishī' jab se na piine kī qasam khaa.ī hai
lab tak aa.e haiñ chhalakte hue sāġhar kitne
un ke partaw ne kiye naqsh ujagar kitne
parda-e-dil pe numayan hue manzar kitne
kya qayamat hai ki ab KHud se bhi ruposhi hai
gham ubhar aae mere qad ke barabar kitne
un ke andaz-e-taghaful ko KHabar tak na hui
meri ruswai ke charche hue ghar-ghar kitne
sar-bulandi ki umiden to liye baiThe hain
hum ne socha nahin ilzam hain sar par kitne
ghair to ghair hain apnon se bhi puchha na gaya
aastinon mein chhupa rakkhe hain KHanjar kitne
waqt paDne pe ye andaza bhi ho jaega
phul kitne tere daman mein hain patthar kitne
Dub marna hi muqaddar hai to ab kya sochen
mauj-dar-mauj hain sahil pe samundar kitne
kis ko malum tha manzil ka pata milte hi
apne meayar se gir jaenge rahbar kitne
dida-e-shauq se kis kis ka taaruf hoga
ek paikar mein simaT aaenge paikar kitne
saqi-e-waqt ki sarshaar nigahi ki qasam
be-piye mast hain mai-KHane se bahar kitne
jab kisi mehr-e-munawwar ki nazar phirti hai
Dub jate hain sitaron ke muqaddar kitne
kis ki taqdir mein tauqir-e-ayazi hogi
sar-ba-sajda hue mahmud-o-sikandar kitne
ai 'rishi' jab se na pine ki qasam khai hai
lab tak aae hain chhalakte hue saghar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.