un ke wade pe eatibar aaya
un ke va.ade pe e.atibār aaya
phir bhī dil par na iḳhtiyār aaya
aap ke dar pe dil-figār aaya
jo bhī aaya vo ashk-bār aaya
be-qarārī thī dil ke rahne tak
luT gayā dil to phir qarār aaya
ashk āñkhoñ meñ baarī baarī se aa.e
naam hoñToñ pe baar baar aaya
vo na aa.e ye ġham to hai lekin
kam se kam lutf-e-intizār aaya
chāñd niklā ho jaise badlī se
yuuñ achānak ḳhayāl-e-yār aaya
be-ruḳhī par mujhe hañsī aa.ī
barhamī baḌh ga.ī to pyaar aaya
merī āñkhoñ meñ bas ga.iiñ āñkheñ
be-piye is qadar ḳhumār aaya
terā dīvāna josh-e-vahshat meñ
kar ke dāman ko taar taar aaya
mai to rindoñ meñ ho ga.ī taqsīm
tab hamārā kahīñ shumār aaya
shaiḳh badnām hai bahut 'sālik'
mai-kada meñ kabhī-kabhār aaya
un ke wade pe eatibar aaya
phir bhi dil par na iKHtiyar aaya
aap ke dar pe dil-figar aaya
jo bhi aaya wo ashk-bar aaya
be-qarari thi dil ke rahne tak
luT gaya dil to phir qarar aaya
ashk aankhon mein bari bari se aae
nam honTon pe bar bar aaya
wo na aae ye gham to hai lekin
kam se kam lutf-e-intizar aaya
chand nikla ho jaise badli se
yun achanak KHayal-e-yar aaya
be-ruKHi par mujhe hansi aai
barhami baDh gai to pyar aaya
meri aankhon mein bas gain aankhen
be-piye is qadar KHumar aaya
tera diwana josh-e-wahshat mein
kar ke daman ko tar tar aaya
mai to rindon mein ho gai taqsim
tab hamara kahin shumar aaya
shaiKH badnam hai bahut 'salik'
mai-kada mein kabhi-kabhaar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.