unki aamad se jo arman machal jate hain
un kī aamad se jo armān machal jaate haiñ
ḳhud-baḳhud raah ke āsār badal jaate haiñ
ham to un logoñ meñ shāmil haiñ hamārā kyā hai
jo umīdoñ ke sahāre hī bahal jaate haiñ
merī āñkhoñ meñ tire hijr ke aañsū haiñ jame
vo mire jazboñ kī hiddat se pighal jaate haiñ
sub.h-e-sādiq kī tarah ujle haiñ jazbe un ke
jo bure vaqt meñ gir ke bhī sambhal jaate haiñ
aisā insān ki jis kā koī ġham-ḳhvār na ho
aise insān ko hālāt nigal jaate haiñ
merī āñkhoñ se bhalā ḳhushk hoñ aañsū kaise
kyā kabhī chhoḌ ke paanī ko kañval jaate haiñ
un ki aamad se jo arman machal jate hain
KHud-baKHud rah ke aasar badal jate hain
hum to un logon mein shamil hain hamara kya hai
jo umidon ke sahaare hi bahal jate hain
meri aankhon mein tere hijr ke aansu hain jame
wo mere jazbon ki hiddat se pighal jate hain
subh-e-sadiq ki tarah ujle hain jazbe un ke
jo bure waqt mein gir ke bhi sambhal jate hain
aisa insan ki jis ka koi gham-KHwar na ho
aise insan ko haalat nigal jate hain
meri aankhon se bhala KHushk hon aansu kaise
kya kabhi chhoD ke pani ko kanwal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.