unki baaton ko kuchh qiyam nahin
un kī bātoñ ko kuchh qiyām nahīñ
sub.h kahte haiñ haañ to shaam nahīñ
zikr-e-dushman pe kyoñ bigaḌte ho
mehrbāñ aap kā to naam nahīñ
mujh ko kambaḳht kyoñ kaho har dam
merī jaañ ye to merā naam nahīñ
barhaman ham hue musalmāñ se
ab bhī kāfir tū hogā raam nahīñ
dar pe hai pāsbān mere liye
ġhair jaa.e to rok thaam nahīñ
ġhair par ḳhum ke ḳhum luñDhāte ho
mere hisse kā koī jaam nahīñ
mast ho kar vo shaiḳh kā kahnā
muft kī ho to mai harām nahīñ
jab kahā tum adū pe marte ho
bole is meñ koī kalām nahīñ
ġhair kyoñ jā rahe haiñ maqtal ko
imtihāñ merā qatl-e-ām nahīñ
bas tumhārā ġhulām ho ke rahūñ
chāhiye mujh ko aur naam nahīñ
mast rakhtī hai chashm-e-mast us kī
mujh ko ab ārzū-e-jām nahīñ
hañs paḌe zikr-e-vasl-e-dushman par
yā'nī merā ḳhayāl-e-ḳhām nahīñ
eid kā din hai pī bhī le ik jaam
ab to zāhid mah-e-siyām nahīñ
terī ayyāriyāñ samajhtā huuñ
tujh ko aur dushmanoñ se kaam nahīñ
kam hai kab roz-e-hijr se shab-e-ġham
sub.h is kī to us kī shaam nahīñ
ġhair hī faizyāb rahtā hai
mehrbānī tumhārī aam nahīñ
ek chup sī lagī hai 'nashtar' ko
jab se vo shoḳh ham-kalām nahīñ
un ki baaton ko kuchh qiyam nahin
subh kahte hain han to sham nahin
zikr-e-dushman pe kyon bigaDte ho
mehrban aap ka to nam nahin
mujh ko kambaKHt kyon kaho har dam
meri jaan ye to mera nam nahin
barhaman hum hue musalman se
ab bhi kafir tu hoga ram nahin
dar pe hai pasban mere liye
ghair jae to rok tham nahin
ghair par KHum ke KHum lunDhate ho
mere hisse ka koi jam nahin
mast ho kar wo shaiKH ka kahna
muft ki ho to mai haram nahin
jab kaha tum adu pe marte ho
bole is mein koi kalam nahin
ghair kyon ja rahe hain maqtal ko
imtihan mera qatl-e-am nahin
bas tumhaara ghulam ho ke rahun
chahiye mujh ko aur nam nahin
mast rakhti hai chashm-e-mast us ki
mujh ko ab aarzu-e-jam nahin
hans paDe zikr-e-wasl-e-dushman par
ya'ni mera KHayal-e-KHam nahin
eid ka din hai pi bhi le ek jam
ab to zahid mah-e-siyam nahin
teri ayyariyan samajhta hun
tujh ko aur dushmanon se kaam nahin
kam hai kab roz-e-hijr se shab-e-gham
subh is ki to us ki sham nahin
ghair hi faizyab rahta hai
mehrbani tumhaari aam nahin
ek chup si lagi hai 'nashtar' ko
jab se wo shoKH ham-kalam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.