unki bazm-e-naz ka samjhe nahin dastur hum
un kī bazm-e-nāz kā samjhe nahīñ dastūr ham
is liye zabt-e-mohabbat par rahe majbūr ham
haif us dīvāngī par jis se rusvā husn ho
haa.e vo mahbūb jis se ho ga.e mash.hūr ham
aañkh ko zauq-e-tajallī dil ko irfān-e-kamāl
aap kī kis kis ināyat ke hue mashkūr ham
kuchh badal ai husn ye tarz-e-taġhāful kuchh badal
varna phir jaarī kareñge maslak-e-mansūr ham
un ke jalve se ho tābinda nigāh-e-shauq agar
zarre zarre ko banā Dāleñge rashk-e-tūr ham
mutma.in dil yaad se āñkheñ tasavvur se nihāl
ab nahīñ hoñge halāk-e-qismat-e-mahjūr ham
'jauhar' is māhaul meñ urdu kī ḳhidmat farz hai
yuuñ nahīñ irfān-e-fan meñ zarra bhar ma.azūr ham
un ki bazm-e-naz ka samjhe nahin dastur hum
is liye zabt-e-mohabbat par rahe majbur hum
haif us diwangi par jis se ruswa husn ho
hae wo mahbub jis se ho gae mashhur hum
aankh ko zauq-e-tajalli dil ko irfan-e-kamal
aap ki kis kis inayat ke hue mashkur hum
kuchh badal ai husn ye tarz-e-taghaful kuchh badal
warna phir jari karenge maslak-e-mansur hum
un ke jalwe se ho tabinda nigah-e-shauq agar
zarre zarre ko bana Dalenge rashk-e-tur hum
mutmain dil yaad se aankhen tasawwur se nihaal
ab nahin honge halak-e-qismat-e-mahjur hum
'jauhar' is mahaul mein urdu ki KHidmat farz hai
yun nahin irfan-e-fan mein zarra bhar mazur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.