unki gali mein barson rihaish ke bawajud
un kī galī meñ barsoñ rihā.ish ke bāvajūd
hāsil na kar sakā unheñ koshish ke bāvajūd
āñkhoñ se āshkāra nahīñ hone dī tapish
dil meñ dahaktī hijr kī ātish ke bāvajūd
terā huuñ maiñ to tere karam se tirā huuñ maiñ
shaitān aur nafs kī sāzish ke bāvajūd
shāyad uTheñ vo sun ke sarāfīl kī sadā
jo niiñd meñ haiñ chār-sū shorish ke bāvajūd
vo zahr de rahā thā maiñ samjhā sharāb hai
ik muġhbache ke haath kī larzish ke bāvajūd
hairat hai un pe tujh ko nahīñ mānte jo log
shams-o-qamar meñ terī numā.ish ke bāvajūd
ḳhvāhish ke vo baġhair milegā ba-roz-e-hashr
duniyā meñ jo na mil sakā ḳhvāhish ke bāvajūd
'gīlānī' koī aisā na hogā jo hashr meñ
baḳhshā na jaa.e un kī sifārish ke bāvajūd
un ki gali mein barson rihaish ke bawajud
hasil na kar saka unhen koshish ke bawajud
aankhon se aashkara nahin hone di tapish
dil mein dahakti hijr ki aatish ke bawajud
tera hun main to tere karam se tera hun main
shaitan aur nafs ki sazish ke bawajud
shayad uThen wo sun ke sarafil ki sada
jo nind mein hain chaar-su shorish ke bawajud
wo zahr de raha tha main samjha sharab hai
ek mughbache ke hath ki larzish ke bawajud
hairat hai un pe tujh ko nahin mante jo log
shams-o-qamar mein teri numaish ke bawajud
KHwahish ke wo baghair milega ba-roz-e-hashr
duniya mein jo na mil saka KHwahish ke bawajud
'gilani' koi aisa na hoga jo hashr mein
baKHsha na jae un ki sifarish ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.