unki gali mein phirte rahe hum shauq mein KHud diwane se
un kī galī meñ phirte rahe ham shauq meñ ḳhud dīvāne se
āte-jāte mil jaate haiñ vo bhī magar anjāne se
ḳhud hī apnā ḳhuun piyā hai tishna-labī ko miTā liyā
un ko hañstā dekh liyā jab chhalak uThe paimāne se
ummīdoñ ke tāne-bāne joḌe phir bekār hue
koī na samjhā ġham kī haqīqat paḌhā kiye afsāne se
zulf-e-dutā kā jaadū aksar sehr kī sūrat ban ke rahā
kaam kī sūrat kyā niklegī sar apnā sahlāne se
dekhne vaale dekh rahe haiñ ḳhud hī hālat-e-nā-gufta
kyā hogā anjām-e-mohabbat zaḳhm-e-jigar bhar jaane se
shikva shikāyat bhuul ke ik dam behtar hai ḳhāmosh rahūñ
'ḳhizr' baḌhegī bas bechainī dil apnā bahlāne se
un ki gali mein phirte rahe hum shauq mein KHud diwane se
aate-jate mil jate hain wo bhi magar anjaane se
KHud hi apna KHun piya hai tishna-labi ko miTa liya
un ko hansta dekh liya jab chhalak uThe paimane se
ummidon ke tane-bane joDe phir bekar hue
koi na samjha gham ki haqiqat paDha kiye afsane se
zulf-e-duta ka jadu aksar sehr ki surat ban ke raha
kaam ki surat kya niklegi sar apna sahlane se
dekhne wale dekh rahe hain KHud hi haalat-e-na-gufta
kya hoga anjam-e-mohabbat zaKHm-e-jigar bhar jaane se
shikwa shikayat bhul ke ek dam behtar hai KHamosh rahun
'KHizr' baDhegi bas bechaini dil apna bahlane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.