unki har baat hai ajib bahut
un kī har baat hai ajiib bahut
par haqīqat se hai qarīb bahut
koī iisā nazar nahīñ aatā
rah-ravān-e-rah-e-salīb bahut
āḳhirī ḳhutba āḳhirī hī rahā
yuuñ to aaya kiye ḳhatīb bahut
aah is sīm-o-zar kī duniyā meñ
aaj bhī log haiñ ġharīb bahut
jab bhī tanhā.iyāñ nasīb huiiñ
aa ga.e tum mire qarīb bahut
intihā.ī ḳhulūs rakhte haiñ
jo ki andar se haiñ raqīb bahut
dil-girafta haiñ aap kyoñ 'hasrat'
aap jaise haiñ kam-nasīb bahut
un ki har baat hai ajib bahut
par haqiqat se hai qarib bahut
koi isa nazar nahin aata
rah-rawan-e-rah-e-salib bahut
aaKHiri KHutba aaKHiri hi raha
yun to aaya kiye KHatib bahut
aah is sim-o-zar ki duniya mein
aaj bhi log hain gharib bahut
jab bhi tanhaiyan nasib huin
aa gae tum mere qarib bahut
intihai KHulus rakhte hain
jo ki andar se hain raqib bahut
dil-girafta hain aap kyon 'hasrat'
aap jaise hain kam-nasib bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.