unki ek ik baat ko dil ne yaad kiya hai sara din
unki ek ik baat ko dil ne yaad kiya hai sara din
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
un kī ik ik baat ko dil ne yaad kiyā hai saarā din
yaaro ham ne ḳhuub manāyā ab ke saal kā pahlā din
merī būḌhī āñkheñ Dhaltī shaam kā manzar taktī thiiñ
muḌ kar dekhā to bachchoñ kī peshānī se ubhrā din
dil kyoñ aane vaale kal kī aas lagā.e baiThā hai
aaj bhī haiñ kal se andeshe kal bhī hogā aaj sā din
koī gautam hī samjhegā ye jazboñ kī dhuup aur chhāñv
ham jab ghar ko chhoḌ ke nikle aadhī raat thī aadhā din
tū ne sāñsoñ kī suulī par lambī raat guzārī hai
kaash tire arpan kar saktā maiñ apne hisse kā din
'kaif' lahū meñ kaliyāñ chaTkīñ nazroñ meñ gulzār khile
achchhī sūrat dekh ke nikle achchhe mood meñ guzrā din
un ki ek ek baat ko dil ne yaad kiya hai sara din
yaro hum ne KHub manaya ab ke sal ka pahla din
meri buDhi aankhen Dhalti sham ka manzar takti thin
muD kar dekha to bachchon ki peshani se ubhra din
dil kyon aane wale kal ki aas lagae baiTha hai
aaj bhi hain kal se andeshe kal bhi hoga aaj sa din
koi gautam hi samjhega ye jazbon ki dhup aur chhanw
hum jab ghar ko chhoD ke nikle aadhi raat thi aadha din
tu ne sanson ki suli par lambi raat guzari hai
kash tere arpan kar sakta main apne hisse ka din
'kaif' lahu mein kaliyan chaTkin nazron mein gulzar khile
achchhi surat dekh ke nikle achchhe mood mein guzra din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.