unki KHwahish aur hai apni tamanna aur hai
unki KHwahish aur hai apni tamanna aur hai
Mohammad Habeeb Habeeb
MORE BYMohammad Habeeb Habeeb
un kī ḳhvāhish aur hai apnī tamanna aur hai
aañkh se zāhir hai kuchh dil kā taqāza aur hai
ḳhuub haiñ kyā ḳhuub haiñ ahl-e-siyāsat vaah vaah
dil meñ un ke buġhz hai lekin dikhāvā aur hai
dastaras meñ apnī rakhtā hai vo tūfān-e-hasad
ham ubharte haiñ to vo ham ko dabātā aur hai
tū ki ġhaddār-e-chaman hai maiñ vafādār-e-chaman
merā maqsad aur hai terā irāda aur hai
dekhnā hai tiir lagtā hai ki hotā hai ḳhatā
ruḳh kamāñ kā us taraf lekin nishāna aur hai
ehtirāman har koī sar par biThātā thā hameñ
vo zamāna aur thā ab ye zamāna aur hai
is tazād-e-dil-nashīñ ko kuchh samajhte haiñ hamīñ
dil milātā aur hai āñkheñ dikhātā aur hai
dekh sūrat ko mirī hairat hai kahtā hai 'habīb'
vo to aisā thā nahīñ ye koī lagtā aur hai
un ki KHwahish aur hai apni tamanna aur hai
aankh se zahir hai kuchh dil ka taqaza aur hai
KHub hain kya KHub hain ahl-e-siyasat wah wah
dil mein un ke bughz hai lekin dikhawa aur hai
dastaras mein apni rakhta hai wo tufan-e-hasad
hum ubharte hain to wo hum ko dabaata aur hai
tu ki ghaddar-e-chaman hai main wafadar-e-chaman
mera maqsad aur hai tera irada aur hai
dekhna hai tir lagta hai ki hota hai KHata
ruKH kaman ka us taraf lekin nishana aur hai
ehtiraman har koi sar par biThata tha hamein
wo zamana aur tha ab ye zamana aur hai
is tazad-e-dil-nashin ko kuchh samajhte hain hamin
dil milata aur hai aankhen dikhata aur hai
dekh surat ko meri hairat hai kahta hai 'habib'
wo to aisa tha nahin ye koi lagta aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.